Friday, March 7, 2008

...Phir kyo apne pankhon ki udaan nahi udta main...


Har anjaan sa chera meri pehchan sa lagta hai,
Bheed main ghum na ho jaun is baat se darta hoon,
Duniya ki ajeeb si rasmo se pareshan sa rehta hoon,
Har girte kadmo ko thamne ka hosla rakhta hoon,
Sitaron ki chamak main chamkna chahta hoon,
Waise to andehra bhi hat jata hai raston se mere..

Phir kyo apne pankhon ki udaan nahi udta main,
Phir kyo khulein aakash main azaad nahi udta main,

Kabhi haar kar lehron main dubne sa lagta hoon,
Kabhi kinaron par baitha sukoon ki saans leta hoon,
Kisi ke sapno ko haqeekat banane ka sapna dekhta hoon,
Kadam ladkhda jatein hai to roshini ka haath thaam leta hoon,
Jo mord jis aor le jata hai usi aor murd jata hoon,
Waise to har Khawaish muthi main band hai mere..

Phir kyo apne pankhon ki udaan nahi udta main,
Phir kyo khulein aakash main azaad nahi udta main.