Suni si ek raah,
us par gharein se kuch nishaa,
kisi ki sahami hui yaadon ke..
sisakte hu kuch waadon ke..
dard se karhaati hui roshni...
dhuein main dhundlati se ek khushi..
aankhon ko bhigoti hui kuch boondee..
kaano se gujarti hui kuch awazee..
kisi ke aane ki woh aahat...
waqt ke ruk jaane ki woh chahat..
woh dubta hua suraj..
woh sharmate hue sitare..
sukhe patoo se khelti hui woh hawa...
khidki se jhakti hui woh raatein..
chupkee se yaad aati hui woh baatein..
Asmaan ko chune ki woh koshish..
kisi ko paaney ki woh khuwaish
haathon main simti si ek lakir..
aankhon main chippi si ek tasveer..
woh khud hi rhuthna..
woh khud hi manana..
woh mutthi main band kuch sapne..
woh bichadee hue kuch apne..
gujarta hua har pal yuhi..
bheka hua kuch-kuch kahin..
khamosh si hai lahree sabhi..
khoo gayi zindgi kahin..
tham sa gaya sab kuch..
par waqt hai pata nahi kuch..
hu aaj bhi 'main' wahin-kahin...
aur 'tum' shayad kahin nahi kahin nahi...
:-written in 2004
2 comments:
that was ultimate yaar. great written. honetly. im afan of urs from now.
wat motivates u to write such beautiful and touching lines....
..genius
Post a Comment